Ahmad Ali Khan’s poetic tributes on Muslim Saleem’s Dhar visit

Ahmad_Ali_Khan_on_Dhar_mushaira gifMeray karam farma janab Ahmad Ali Khan sb nay aaj meray liye kuchh ashaar share kiye hain. Mulahaza hon.

AB DHAR*,,,,,,, KAARVA’N PAHUNCHA

Guzashta dino yani 3 September – 2013 ko ” Dhar City ” mein ik Mushaire ka ehtamaam bela-tafreeq Mazhab-o-Millat maqaami hazraat ne kiya tha……. Es Mauqay par Hamare mulk ke mo’atbar-o-mumtaz Shayer Janab Muslim Saleem saheb ne apni shirkat se shair-o-sukhan ki Mehfil ko jo Raunaq bakhsha…… Wusi manzar ko apne zehn mein rakhkar Main unki shaan mein b-taur-e-Aqeedat cha’nd shair kehne ki jurr’at kar raha hoon…….. !

WO THAME PARCHAM-E-URDU KAHA’N- KAHA’N PAHUNCHA,
UTHAA BHOPAL SE, AB DHAR*,,,,,,,,,,,, KAARVA’N PAHUNCHA,,

JO DEKHA DHOOP MEIN,,,,,,,,, PAUDA KOI JHULASTAY HUAY,,
TO BANKAY SAYA -E- SHAFQAT WO BAAGHBA’N PAHUNCHA,,

KAMAAL-E- HASTI HAI,,,,,,,,,, YA YE KASHISH KALAAM KI HAI,,
KE UNKI BAZM MEIN HER PEER -O- NAUJAWA’N PAHUNCHA,,

BALAND ITNA HUA HAI,,,,,,,,,,,,,,,,, QAD AAJ “ MUSLIM “ KAA,,
JAHAN NA PAHUNCHA THA KOI WO AB WAHA’N PAHUNCHA,,

DHAR* Madhya Pradesh ka Ek Mashhoor Shehr hai Jahaan 3 September, 2013 ko Halqa-e-Ahbaab-o-Adab se Janab Muslim Saleem saheb ko ik Yaadgaar Aizaz mila.

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.